Wednesday, November 2, 2022

Bachpan | Srushti Tawade Lyrics - Hustle 2.0

 

Parivaar Mein The Hum Chaar

Main, Aai, Baba, Kaamwali Didi

 

Mujhe Didi Ke Paas Rakha Gaya Tabhi Se

When Aai And Baba Thought I'll Be Safe

And Didi Ke Hisse Ka She'll Be Paid

Badle Mein Mujhko Sambhalegi Everyday

 

Anyway, It Was Sadder Than Jail, Any Day

Funny, Eh? Don't Even Smile

Yeh Mere Bachpan Ki Story Hai

Not Such A Fairytale

 

Jab Office Jaate Aai-Baba, Toh Ghar Pe Ek Mehmaan Chhupke Se Aata

Woh Mujhko Toh Bahar, But Didi Ko Andar Ke Kamre Mein Jaake Sulaata.

Bhole The Aai-Baba, Na Shaq Kiya, Bole Why Bother?

Aur Main Bas Chaar Ki Thi

Yeh Cheezein Mere Palle Paar Ki Thi

 

Hamare Hee Ghar Mein Hamare Hee Bistar Pe Didi Ke Mister Ki Yaadein

Woh Mere Aai-Baba Jaise Saath-Saath Honge Richer, Yeh Vaade

Unn Dono Ke Raastey Mein Main Hee Thi Jab-Jab Woh Paas Mein The

Woh Bola ""Shut Her Mouth Up, Shout Louder, Hit Her, Dikha De!

 

Phir Mujhko Daraane Poori Afternoon

Maara Mujhe, Sar Phoda, Rangey Khoon Se Haath

Aur Aankhon Se Boli Bas Ek Hee Baat

""Mummy Ko Bataana Nahi"".

 

Aye, Mera Bachpan Kahan Gaya?

Abhi Toh Yahin Tha, Bachpan Kahan Gaya?

Aye, Mera Bachpan Kahan Gaya?

Abhi Toh Yahin Tha, Koi Khaa Gaya

Aye, Mera Bachpan Kahan Gaya?

Abhi Toh Yahin Tha, Bachpan Kahan Gaya?

Aye, Mera Bachpan Kahan Gaya?

Abhi Toh Yahin Tha, Koi Khaa Gaya

 

Abb Didi Ko Tension Thi, Mera Sar Phoota, Aai-Baba Will Question Me

Woh Kal Phir Se Maaregi Joh Maine Sach Bola, She Started To Threaten Me

Zindagi Ye Vis-A-Vis Baaki Bachcho Ki Zindagi, I Needed Therapy

I Was Losing My Sanity, Cause She Affected Me Heavily, Ghar Mein Hee Enemy

 

Sar Pe Jaise Bojh Tha Bhaari

Aai-Baba Ko Nazar Hee Nahi Aa Rahi

Sachchaai

Aur Main Haadse Se Ubhar Hee Nahi Paa Rahi

 

Jhooth Bola, Seedhi Se Giri

Aur Phir Maar Khaane Ki Baari Aa Jaati

Tab Main Jaisi Zindagi Jee Rahi Thi

Uss Se Toh Achha Miscarry Ho Jaati

 

Ek, Do, Teen Saal Beete

Tabhi Bhi Main Uss Se Maar Hee Khaa Rahi Thi

Depression Mein, Anxiety Mein, Jagah-Jagah Jaane Kitni Raatein Guzaari

 

Yeh Hona Zaroori Tha Kya?

Rulaake Bhigona Zaroori Tha Kya?

Yun Mujhko Iss Duniya Ka Andhera

Kona Dikhana Zaroori Tha Kya?

 

Kabhi Lagta Hain Ki Aye Kaash Apna Sach Mein Apna Ho

Haqeeqat Mein Joh Guzri Mujhpe Thi Woh Jhoothi Ghatna Ho

Meri Neendein Udi, Par Jab Bhi Aayi, Bas Yahi Dekha

Main Sapne Mein Bhi Chaahun Ke Yeh Sab Bas Ek Sapna Ho

 

Mera Bachpan Kahan Gaya?

Abhi Toh Yahin Tha, Bachpan Kahan Gaya?

Aye, Mera Bachpan Kahan Gaya?

Abhi Toh Yahin Tha, Koi Khaa Gaya.

Aye, Mera Bachpan Kahan Gaya?

Abhi Toh Yahin Tha, Bachpan Kahan Gaya?

Aye, Mera Bachpan Kahan Gaya?

Abhi Toh Yahin Tha, Koi Khaa Gaya.

No comments:

Post a Comment