Sashakt Bakse Mein Band
Pade Pade Laga Uspe Jang Aur Gandh
Kabhi Kabhi Karta Hai Mann
Karlu Usi Bakse Me Khud Ko Band
Ghisat Ghisat Ke Ladd
Jaise Tu Koyi Tooti Patang
Seh Le Tu Dard Kyun Ki Kabhi Na Hogi
Khatam Ye Jung
Gharwalo Se Aati Sharam Kehne Mein
Jo Mujhe Hai Banna
Jab Tak Deta Na Saboot To Kaise Bolu
Haan Yahi Hai Shuru Se Mujhe Karna
Raste Jo Paas The Kab Aayenge Samne
Jitna Picha Karoge Utne Badhege Faasle
Sapno Ke Liye Saans Le Sapno Ke Liye Jaan De
Kaise Hai Karna Bas Yahi Na Jaante
Pakdo Mera Hath Kudo Tum Unchai Se
Jayenge Niche Nahi Aur Bhi Unchai Pe
Jahan Pe Jeet Ki Pukaar Bhi Sunai De
Is Baat Ki Meri Poori Zindagi Gawahi De
Pakdo Mera Hath Kudo Tum Unchai Se
Jayenge Niche Nahi Aur Bhi Unchai Pe
Jahan Pe Jeet Ki Pukaar Bhi Sunai De
Is Baat Ki Meri Poori Zindagi Gawahi De
Niche Mat Dekhna Piche Mat Mudna
Chillate Log Jinda Ya Murda
Zara Soch Kabhi Tu Bhi Vahi Tha
Par Tujhme Thi Veerta
Haan Tu Hi Sahi Tha
Sabme Jalti Hai Aag
Jise Aksar Bujhne Dete Hai Hum
Ant Me Bachti Hai Rakh
Jo Karti Himmat Aur Bhi Kam
Karni Hai Poori Apni Khuraak
Lagega Sirf Ek Hi Janam
Lapte Uthengi Rakh Se
Bas Rakhna Hai Aage Kadam
Padenge Piche Log Aur Marenge Taane
Unki Mat Sun Ye Bukhe Bechare
Jane Anjane Ye Bas Khate Hai Daane
Ye Log Khud Ko Na Pehchane
Toh Socho Kaise Aayenge Hume Bachane
Nakamyabi Ka Jab Badhta Hai Andhera
Nahi Samjhte Sab Aur Lagta Hai Akela
Tab Bhulo Na Kya Kya Tumne Jhela
Kyun Ki Aata Hai Andhera
Taaki Aa Sake Sawera
Pakdo Mera Hath Kudo Tum Unchai Se
Jayenge Niche Nahi Aur Bhi Unchai Pe
Jahan Pe Jeet Ki Pukaar Bhi Sunai De
Is Baat Ki Meri Poori Zindagi Gawahi De
Pakdo Mera Hath Kudo Tum Unchai Se
Jayenge Niche Nahi Aur Bhi Unchai Pe
Jahan Pe Jeet Ki Pukaar Bhi Sunai De
Is Baat Ki Meri Poori Zindagi Gawahi De
Banna Nahi Legend Banani Bas Apni Jagah
Dena Nahi 100 % 200 Tu Power Laga
Qismat Ko Bhool, Bhool Mat Apni Wajah
Lagi Hai Chot Vardaan Hai Na Koyi Saja
No comments:
Post a Comment