Bachpan se socha kaisa hoga bada hona
Har baat pe chup hua randi rona
Pehli baar jab zindagi mein hua dhokha
Aisa laga dobara na milega ye mauka
Khud ko roka, khud ko toka
Bolti main sach jaan ne ke liye chhota
Khud ko kosha, khud ko bola
Ye pyaar bas ek baar ka hi hota
Pehchaan badhti meri khaufnaak roop se
Shaktishali banta banda baar baar toot ke
Suit mein baithe mere jaise kalakaar lootne
Loop pe chalta mera gaana radio booth pe
Bhoolte jo sapne dekhe school mein
Aayenge mere fan mujhse milne shoot pe roothte
Phir dikkaton ko bhool kar jhoolte
Ghalat mod pe khadi hai meri zindagi
Dimaag aur dil ke beech hatki meri zindagi
Girke uthne ka naam hi hai zindagi
Road se crore tak ki hai ye zindagi
Ghalat mod pe khadi hai meri zindagi
Dimaag aur dil ke beech hatki meri zindagi
Girke uthne ka naam hi hai zindagi
Road se crore tak ki hai ye zindagi
Pehle ek din lagta poora saal tha
Pata na chalta ab saal bhi kahaan gaya
Pehle saath dosto ka jhund khelta tha
Sochta hoon unki manzilon mein kya likha tha
Chotein kha ke seekha ladne ka tareeka
Sab kuch paa kar kuch bhi na jeeta
Haan main jeeta, duniya ka rang pada feeka
Haan main cheekha soch soch ke jo mujhpe beeta
Ghutno pe rooti wo meri aakhiri yaad hai
Mujhse pehle bhi wo aur kisi ke saath hai
Kya karun jab mere seene mein lagti aag hai
Pyaar karne ka milta kaisa ye inaam hai
Dheere dheere ghut'ta dum har raat hai
Guzaara jitna waqt lagta ab paap hai
Poora karta koi aur uske khwab hai
Phir bhi rehna chaahti wo mere saath hai
Ghalat mod pe khadi hai meri zindagi
Dimaag aur dil ke beech hatki meri zindagi
Girke uthne ka naam hi hai zindagi
Road se crore tak ki hai ye zindagi
Ghalat mod pe khadi hai meri zindagi
Dimaag aur dil ke beech hatki meri zindagi
Girke uthne ka naam hi hai zindagi
Road se crore tak ki hai ye zindagi
Ghalat mod pe khadi hai meri zindagi
Dimaag aur dil ke beech hatki meri zindagi
Girke uthne ka naam hi hai zindagi
Road se crore tak ki hai ye zindagi
Zindagi girke uth!
Road se Crore tak ki hai ye zindagi
No comments:
Post a Comment